Suurat Faatiha ka Usluub-e-Bayaan (Writing Style)
Duniya mein jiti bhi Aasmaani kitaaein naazil huii hain sab ka Usluub-e-Bayaan (Writing Style) aasaan aur mukhtasar (precise) raha hai. Yaani Allah taala ne jab bhi Insaan ko hidaayaat (guidance) bheji to us mein koi nayi (new) baat naazil nahi ki jo samjhne ke qaabil na ho ya ye ki bohot kam log usko samjh payein. Balki baat aasaan alfaaz aur seedhe andaaz mein bayaan hui hai. Taaki zyada se zyada log us se istifaada (benefit) uthaa sakein.
Maulana Azad apni kitaab Umm-al-Kitaab: Tafseer Suurat Faatiha mein likhte hain "Ye baat yaad rakhni chaahiye ki duniyaa mein jo baat haqeeqat se jitni zyada qareeb hogi utni hi zyada sahal (aasaan) aur dil-nasheen (attractive) hogi. Uljhao jitna bhi hoga sab banaawat aur takalluf mein hoga."
Agarche (although) puura Quraan hi aasaan aur mukhtasar hai lekin khusuusan (specially) Suurat Faatiha ek aisi suurat hai jisme mukhtasar aur aasaan alfaaz mein Islam ke bunyaadi (basic) concepts ko waazeh kar diya gaya.

اللہ مزید زور قلم عطا کرے۔ آمین
ReplyDelete