Suurat Faatiha ki Ahmiyyat (Importance)
Suurat ko Faatihat-al-Kitaab bhi kaha jaata hai. Jiska matlab hai The Opening of the Book (Quraan). Agarche naazil hone wali sabse pehli suurat Al-Alaq thi lekin kyunki ise Allah ke hukum se sequence mein sab se pehle rakha gaya hai isliye Quraan ki sab se pehli suurat yahi maani jaati hai. Maulana Abul Kalam Azad apni kitaab Umm-al-Quraan Tafseer Surat Faatiha mein likhte hain " Jo baat ahem hoti hai wo tarteeb(sequence) mein Qudrati taur par sabse pehle rakhi jaati hai aur Suurat Faatiha kyunki tarteeb mein sabse pehle aati hai isse bhi is suurat ki ahmiyyat ka pata chalta hai.
Arab ke logon ka ye riwaaj (culture) raha hai ki wo jisko bhi zyada pasand karte usko ek se zyada naamon se pukaara karte the. Misaal ke liye: Ghoda (Horse), jo arbon ke yahan pasandeeda jaanwar hai uske liye arabi zaban mein Faras, Hisaan aur Khayl jese alfaaz aate hain. Isi tarah Suurat Faatiha ke bhi ek se zyada naam maujuud hain. Un mein se kuch hain: Umm-al-Quraan, Asaas-al-Quraan, Al-Shaafiya, Al-Kaafiya, Al-Kanz. Is ke kayi saare naam hona bhi iski maqbuliyyat aur ahmiyyat ko bayaan karta hai.
Kuch Ulamaa ka maanna hai ki Suurat Faatiha mein Puure Quraan ki Talkhees (Summary) hai. Duusre alfaaz mein kaha jaaye to Quraan Suurat Faatiha ki Tafseer hai. Aisa isiliye ke Jo kuch Suurat Faatiha mein mazkuur (mentioned) hai wo jagah jagah Quraan mein tafseel se zikr kiya gaya hai.
Quraan mein aata hai "Ham ne aapko saat(7) dohraai jaane waali (aayaat) ataa ki." Mufassireen ka maanna hai ki yahan saat dohraai jaane waali se muraad suurat faatiha hai jisme saat ayaat hain aur wo saat aayaat har namaaz mein dohraai jaati hain.

Jazakillahu Khair for this! May Allah accept your efforts
ReplyDeleteماشاءاللہ، نہایت عمدہ تحریر
ReplyDelete